Special Gharelo Nan Recipe In Roman Urdu

Gharelo Nan
- Maida ½ kg
- Dahi 4 chamach
- Baking powder 1 chaye ka chamach
- Kalonji ¼ chaye ka chamach
- Anda 1 adad
- Tail 2 chamach
- Neem garm paani ½ piyaali
BANANE KI TARKEEB
In tamam cheezo ko mix kar k neem garm paani sy gondh lain. Aata gondh kar 2 ghanty shoper main rakhain. Phir roti bail kar bees minute tak rakhain.
Naan banana k liye roti ko mota rakhain.
Ab saada naan bhi banaya jaskta hai aur Gharelo Nan qeemay ya aalo ki filling wala naan bhi, naan bail kar garm taway per daalain. Ghee lagain ya ghee k bagiar khushk naan bhi banaya jaskta hai.
Garm garm naan serve karain.
Leave a Comment
You must be logged in to post a comment.
0 Comments